Friday, October 22, 2010

Sarhadein
Sarhadein had se junuoon us paar hai
Wo samajhne ko kahan taiyaar hai

Log marne lage patthar mujhe
Aur kis aalam ka intezaar hai

Khot hai ya koi kami, kuch to kaho
Ya koi aur ummeedwar hai

Koi mausami nahi mera junoon
Itana to usko bhi aitabaar hai

Mujhko bhi ye hukum hai aisa karu
Koi to hai sabka jo sarkaar hai

Jism me haath mere wo janaab
Naw ki wo meri patwaar hai

Lal hokar ek tak dekha kiye
Ye bhi ek tarha ka ikraar hai

Na saheli, bhabhi na, na gair koi
Aaj wo nikle hai tanha namaskar hai

Jism hai soch hai aur hai umar
Bas asar ka hi mujhe intezaar hai
Waqt

Beetein mein apne jhank our apna hisab dekh
Main kaun hu utarkar mera nakab dekh

Tharra gaya kyu zehan, tharra gaya kyu jism
Aankhon mein meri banta tu apna kabab dekh

Boodha kiya hai maine main boodha nahi hua
Main waqt hun tu adab se mera ruaab dekh

Hai keemti safedi hifazt tu iski kar
In jhurriyon ke beech na khoya shabab dekh

Kamsin hai jism uska use khauf nahi hai
Kanton ke beech mein khilta gulab dekh

Chamde ka main sahi lohe ka tu sahi
Main hu lagam lekin tu ha raqab dekh

Ab raat gayi raat ki baaton ko jane de
Geeto gazal ko chhod ab Kuran-e-Kitab dekh

Ab tak ki zindagi mein jo paida kiye sawal
Un sab ke aa gaye hain le sare jawab dekh
Waqt Ke Saath

Waqt ke saath ab mujhse chala nahi jaata
Milalu haath to phir chhala nahi jaata

Bhale wo murga sahi mere ghar me palta hai
Lakh koshish ke baad bhi tala nahi jaata

meri sohbat me rahoge to yakin hoga tumhe
haqiqato ke bayan me galaa nahi jaata

Ab inqalaab ka lagta hai daur khatm hua
Sarfarosho ke saath kafila nahi jaata

Club me bheed hai, mandir hai sune, mazjid bhi
Ibadato ka magar silsila nahi jaata

Jisse jitna hai rishta utna use milta hai
Udte panchi ke saath ghosala nahi jaata

Sabak bardasht ka sikhane me bhala lagta hai
Bigadti baat per ji kaun tilmila nahi jaata

Me jo chalta hu to manzil bhi khisak jaati hai
Yahi wajah hai ki ye fasala nahi jaata